Wednesday, 29 August 2012

Kuch raastay kat'tay nahi tanha usay kehna...

Us simt chalay ho to bas itna usay kehna,

Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna..

Duniya to kisi haal mein jeenay nahi deti,

Chahat nahi hoti kbi ruswa usay kehna..

Us ne hi kaha tha to yaqeen maine kiya tha,

Umeed pe qayim hai ye duniya usay kehna,

Zarkhaiz zameenain kbi banjar nahi hotin,

Darya hi badal letay hain rasta usay kehna..

Kuch loog safar k liye mozoon nahi hotay,

Kuch raastay kat'tay nahi tanha usay kehna...

No comments:

Post a Comment